Friday 20 November 2009

Brilliance by Piyush Sharma from Gulal




Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai
[Dekhna hai zor kitna bazu-e-kaatil me hai
Waqt aane de bataadenge tujhe e aasmaan



Hum abhi se kya batayen kya hamare dil me hai]
Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai
Oh re Bismil kaash aate aaj tum Hindustaan
Dekhte ki mulk saara kya tashan, mehfil mein hai



Aaj ka launda yeh kehta hum to bismil thak gaye
Apni aazaadi to bhaiya laundiya ke til mein hai.
Aaj ke jalson me Bismil ek gunga gaa raha.



Aur behron ka wo rela naachta mehfil mein hai
Haath ki khadi banaane ka zamaana lag gaya
Aaj to chaddi bhi silti englison ki mill mein hai
Dekhna hai zor kitna bazu-e-kaatil me hai



Waqt aane de bataadenge tujhe e aasmaan
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil me hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai

No comments:

Post a Comment